सोमवार, 20 सितंबर 2010

ज़िन्दगी में बस एक आस है
सोचता रहता हूँ की कब बदलाव आएगा!!
हो सकता है परिवर्तन के इंतज़ार में साल गुज़र जायेगा
लेकिन फिर भी, उम्मीद नहीं खोनी है
परिवतन आएगा और ज़रूर आएगा!!

सिस्टम बदलेगा इंसान बदल जायेगा
समाज में एकजुटता आएगी
कोई मुसलमान न कोई सिख रह जायेगा
बस इसी आस में बैठा
सोचता रहता हूँ की एक दिन सब बदल जाएगा

न कोई अमीर न कोई गरीब रह जाएगा
इंसान जल्द ही इंसानियत
की तरफ अपना कदम बढ़ाएगा
जल्द ही हर इंसान बदल जाएगा
इसी आस में बैठा हूँ
की एक दिन सब बदल जायेगा!!

मुझे पता है बैठे रहने से
कुछ हासिल नहीं हो पायेगा
इक दिन मुझे, सारी दुनिया को जागना होगा!!
कदम से कदम मिला आगे बढ़ना होगा,
परिवर्तन की तरफ
और फिर ज़रूर बदलाव आएगा!!

गुरुवार, 29 अप्रैल 2010

वक़्त बेवक्त जब बारिश होती है ,
लगता है यु मानो किसी की साजिश होती है,
महक उठी है धरती साड़ी आज ,
और ऐसे में, जाम की दरिया में डूब जाने की खाहिश होती है...

रविवार, 11 अप्रैल 2010

Maine dekha hai...

Us Sadak ki aakhiri chhor par
maine dekha hai ik gareeb ma ko bilakhte hue,
kisi ki maar sehte hue, galio ki bauchhar sehte hue,
aur uske bookhe bacche ko pooja ke phool done me bechte hue
aur bhagwan ko hikarat bhari nazaron se dekhte hue...

Maine dekha hai ik bacche ko apna bachpan khote hue,
ik bache ko bhook se bilakhte hue, tadapte hue, rote hue,
ik bache ko iss aas me madarsa jate hue ki ik waqt ki roti naseeb ho jayegi,
ya khuda kya mere desh ki mitti yehi rang laegi...

Maine dekha hai un ameero ke auladon ko adha ann khate hue,
aur baki, us sadak pe phekte hue,
aur unhi phike hue ann ko ek bhookhe bachhe ka niwala bante hue,
maine dekha hai...

Maine dekha hai ik kisaan ke bacche ko bhookhe marte hue,
mazdoor ke chulhe ho bina roti jalte hue,
ik gareeb ko apne bachhe ke ilaz ke liye dar dar bhatakte hue,
maine dekha hai us sadak ki aakhiri chhor par...

रविवार, 7 मार्च 2010

Har pal har waqt tumhe yaad karta hun
kya mai tumse pyar karta hun??
dur ha chali jaao tum
ab har pal iss baat se darta hun

Subeh hote hi tumhara naam leta hun
raton me tere naam ki zaam leta hun
jab jab saans leta hun tumahara hi naam leta hun
kya mai tumse pyaar karta hun

Phoolon me kaliyon me sirf tum nazar aati ho
wadiyon me lehron me sirh tum khilkhilaati ho
pyaaar mai tum hi se karta hun meri jaan
ye jaan kar bhi tum mujhe itna satati ho

Na raho door ab aa jao kareeb mere
keh do ik baar ki bas tum hi ho naseeb mere
itni paaas hokar bhi tum itni door kyun ho??
aankhon me bus kar bhi tum gum kyun ho??

kya tujhe mujhse pyaar nai
kya tumhara chain kabhi khoya nahi
ik baar bus ik baar kar lo na ikraar mere ishq ka
phir naa hoga mujhe bhay is nirmam sansaar ka!!
Zindagi ke safar me bus ik baar milne ki khahish rakhte hain,
hamesha salamat rahe mera yeh dost,
apni mazil ko paaye mera yeh dost,
khuda se itni se guzarish har roz kiya karte hain!!
Tere galtiyaan toh hum bhula denge,
tu kahe gar doh tere yaadon ko mita denge,

Azma ke to dekh aai zalim,
tu kahe toh tere pyaar me khud ko fana kar denge!!
Tanhai me baithe, hum tujhe yaad kar rahe hain,
har lamha har pal khuda se fariyaad kar rahe hain!!
Mere pyaar ki kya ehmiyat hai teri zindagi me
kahin hum ik paththar dill se to ummeed nahi kar rahe hai??
Jaam haathon me liye baithe hain
wakt ka kuchh hosh nahi
dil ki kalam se jab bhi kuchh likhte hain
kambakht aaphi ka naam aata hai har kahin!!
Na karo Zulm apne iss deewane par
Ye deewana kuchh kar jayega
kar rha hai intezaar izhaare muhabbat ka
na kia, toh deewana mar jayega!!
Tere pyaar me jub hum khone lage
lamha lamha teri yadon me rone lage
siskiyaan sunai deti hain to sun aai patthar dil
Pal pal hum teri chahat me marne lage!!
Teri Yaadon me khoye baithe hain
duniya ki koi fikra nai,

Tujhse pyaar ki ummeed lagaye baithe hain
magar teri duniya me hamara koi zikra hi nahi!!
Zindaji me gar ho saath aap jaise dost ka,
toh kya gun duniya ke kisi sitam ka!!

Kar le ruswai humse duniya
to kya gum, tod denge se naate
iss rishte ke liye...
Piyunga aaj Mai itna ki saare jahan ki Sharab kam Padegi
Chahunga mai tujhe itna ki saare jahn ke Muhabbat kam padegi!!

मंगलवार, 2 मार्च 2010

Tum door ho chahe jitna uska koi gum nahi
Gum toh iss baat ka hai ke
aapki yaadon me shayad hum nahi!! PAL
Dil ki kalam se ye alfaaz likhte hai
Darde dil ki halat in alfaaz se bayan karte hain
ke hum har uss cheez se jalte hain
jo aap se muhabbat karte hain... PAL
Tumhari Yaado ko Dil me Basa chal pada mai kuchh aise
Ke raat aur din ka Khayal hi naa raha jaise

Jee toh chahta hai tujhe pyaar dun itna
Heer aur Ranjha ne kabhi socha na ho vaise...

Tanhai

Baitha Hun Tanhai mein aur
tujhe yaad kar raha hun,
Dil mein hai Saillab Dard ka
Usse Bayan kar raha hun!!

Darde Judai Bahot Dard deti hai,
katati hai, jalati hai, chubhati hai,
Gum ke ashkhon ko rukne nai deti hai
Kya karun inhe roke rok nai Paa raha hun!!

Aaj Ja raha hun tujhse door
Chand kuchh lamhon ke liye,
tere khushboo me sarabor tera ye aanchal
tujhse chheen, liye jaa raha hun!!

Tujhe bhi yaad meri aayegi,
tujhe bhi yaad meri rulayegi.
Tujhe bhi ye tanhai satayegi.
ye ummeed liye jaa rha hun!!

Mera intezaar karna mere hamdum
Mai waapas aaunga
Aur jaroor aayunga
ye wada tujhse kiye jaa raha hun pal!!