रविवार, 7 मार्च 2010

Har pal har waqt tumhe yaad karta hun
kya mai tumse pyar karta hun??
dur ha chali jaao tum
ab har pal iss baat se darta hun

Subeh hote hi tumhara naam leta hun
raton me tere naam ki zaam leta hun
jab jab saans leta hun tumahara hi naam leta hun
kya mai tumse pyaar karta hun

Phoolon me kaliyon me sirf tum nazar aati ho
wadiyon me lehron me sirh tum khilkhilaati ho
pyaaar mai tum hi se karta hun meri jaan
ye jaan kar bhi tum mujhe itna satati ho

Na raho door ab aa jao kareeb mere
keh do ik baar ki bas tum hi ho naseeb mere
itni paaas hokar bhi tum itni door kyun ho??
aankhon me bus kar bhi tum gum kyun ho??

kya tujhe mujhse pyaar nai
kya tumhara chain kabhi khoya nahi
ik baar bus ik baar kar lo na ikraar mere ishq ka
phir naa hoga mujhe bhay is nirmam sansaar ka!!

3 टिप्‍पणियां: